jo zameeN rakhti thi apni hi raanaa'ee
us zameeN ka aaj naksha badal chuka hai
jiska maazi raha hai sada se roshan
kya hua ki uska aaj badal chuka hai
begunah aur gunahgar sab maut ke mooNh
tarazu insaaf ka kyuN aaj badal chuka hai
jo jazba tha baaham hindu muslim ke
kya hua ki aaj wo rishta badal chuka hai
kyuN ho rahe heiN din dahaDe khooN aur lootpat
kya insaan aaj apni zaat badal chuka hai
kya ho sakegi talafi unki jo maare gaye begunah
de diye gunahgar ki masla badal chuka hai
zimmedar heiN halat-e-mulk ya baahri dakhal
ki ab to ye sochne ka bhi waqt badal chuka hai
ek hind ke makeeN band kar ye farq qoum ka
phir na kahna ki wajud-e-hindustaN badal chuka hai
Wednesday, May 5, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment