Wednesday, May 5, 2010

kaash

pahchan paata us aqs ko paani meiN agar
kisi ne samandar meiN na pat'thar na mara hota

aakhiri phool bhi shakh-e-gul se bikharta kaise
bahar aane ka use koi bhi sahara hota

kashti lag jaati usi roz manzil se agar
beech samandar mein koi bhi kinara hota

sisakte chaand ko thapki de ke sula deti zameeN
gar na suraj ki kiran ka sahara hota

aur abhi doDta ki josh-o-junooN hai baaqi
kismat ki raftar se na hara hota

tut hi jaata ki shab-e-intzar thi taweel
aus ki booNdoN ne sahar meiN na ubara hota

sabr nigal hi gaya hota besabr ab tak
ummeedoN hath meiN gar na daaman tumhara hota

andheroN se chheen leta ujale meiN bhi
mere ghar meiN bhi koi dhurv ka taara hota

abrar tamam umr intzar meiN kat'ti
kaash phir aane ka koi bhi ishara hota

No comments:

Post a Comment