Wednesday, May 5, 2010

Aakhir meiN kya likhuN

Dil bhi hai pareshaN,zehan bhi juda juda
donoN se juda hoke aakhir meiN kya likhuN
ye watan bhi hai pareshaN aur ye quom bhi
kaun sa unwaan looN,aakhir meiN kya likhuN

maut se bekhauf hooN,per zindagi se khaufzada
ho zindagi se ba-wasta aakhir meiN kya likhuN
kaaghaz bhi mere paas hai,syahi bhi mayassar
hoN syahi mein lahu ke qatre,aakhir mein kya likhuN

raheiN bhi heiN pathrili,manzil hai bahut door
andhera bahut hai ghir aaya,aakhir meiN kya likhuN
andhera jo ghira to parchhaaiN bhi bhagi
kis qadr hooN meiN tanha, aakhir mein kya likhuN

barha poochte rahe dost abrar kuchh likho
khauf karti heiN ungliyaN,aakhir meiN kya likhuN
maazi tha bahut roshan,socha us per hi kuchh likhuN
saamne rakha hai aayeena,aakhir meiN kya likhuN

kisi ne kaha hai........... haNsa karo ki udasi bhali nahi hoti
bujhe diye ki koi zindagi nahi hoti
sochkar ye meiNe diya jalta to chhoR diya

aaNdhiyaN heiN bahut yaar, aakhir meiN kya likhuN
log kahte heiN har raat ke baad aayegi ek subah

subah bhi ho ghar andheri,aakhir meiN kya likhun

kisi raat ko koi suraj aayega meri chhat pe
betha tha ummeed pe,aakhir meiN kya likhu
suraj bhi nikla,subah bhi hu'eedam toD diya shabnam ne,
aakhir meiN kya likhuN

betha hooN meiN mehfil meiN, aur haNs rahe heiN dost
na ho saka hai faislaa, aakhir meiN kya likhuN

No comments:

Post a Comment