Saturday, October 23, 2010

NAWAZISH GHAMON KI LAZIMI SI RAHI

NAWAZISH GHAMON KI LAAZIMI SI RAHI

ek sher Delhi ke baarish ke nazar

zamiN ki chadar bheegi is qadar
garaz se baadloN ke sahmi si rahi

Chhipa ke dard ko kuchh zyada wo haNsi
laboN pe uske kuchh kami si rahi

na tum mujhe samjhiN,na meiN samjha tumheiN
qasar hamari zaroor baahmi si rahimeiN

charag hooN,taqdeer meri jal jaana
daraze umr meri khushfahmi si rahi

aahat tere aane ki na sun paa'ooN kahiN
dhaDkan dil ki kuchh thami si rahi

tamam khushiyaN na hosh uDa deiN kahiN
nawazish ghamoN ki laazimi si rahi

dukaaN se khilonoN ki wo guzar hi gaya
nigah jeb per kuchh jami si rahi

HAUSLA USKA KHOON ALOOD NA THA

chahta rahooN tumheiN baad mar ke bhi
pyar mera kabhi mehdood na tha.

tamam zeest usi raah pe chalta raha
nishaN manzil ka jahaN maujud na tha

khuda ke baad ab aur kise chaaheiN
muhabbat tere bina koi mabood na tha

do kapDe aur do waqt ki roti thi
siwa iske us ghareeb ka wajood na tha

pairahan tar tha uska waqt-e-shahadat
hausla uska magar khoon alood na tha.

CHALO KUCHH HADSON KO DUHRANE DO

na roko aawaz apni aane do
bandh hothoN ko muskrane do

chaloge saath kahaN tak mere ?
ye saath duriyoN ko aazmane do

tere khwab se meri neeNd behtar hai
haqiqat ko saamne mere aane do

parcham uthaya hai inqlaab ka
chalo kuchh haadcoN ko duhraane do

sab theek hai duniya meiN,mein aur tum bhi
bachhoN ko hubbe watan ke fasane do

phool haNseiN aur muskrayeiN kaaNte bhi
fasal kuchh eisee baagwaaN ko lagane do

KAUN KAHEGA YE MEHFIL NAHIN

KAUN KAHEGA YE MEHFIL NAHIN

koi pat-thar hai dhaDakta dil nahi
koi aur aage ab manzil nahi

khwab ko tarasti koi aankh mar gayee
zindagi se baDa koi sangdil nahiN

kuchh eisee rawayat hai,jisko bhi chaho
na usko jata'o to haacil nahiN

saDak pe baithe heiN kuchh log haNs rahe
kaun kahega ye mehfil nahiN

ye "talkhiyat" meri lagti hai tumko
yuN sach bayaN karta yahaN har dil nahi

firqaparasti hu'ee eisee kuchh nahi pata
baazu meiN baitha, wo "qatil" nahiN

ahsas-e-muflisi se darta hooN gah gah
samandar meiN tairta kabhi sahil nahiN.

tafteesh ho rahi hai aman ke baad

Tafteesh ho rahi hai aman ke baad

Ye khamosh raat bhi guzar hi chali
na aaye raat phir ghutan ke baad

shahar chup hai,ye phir ghalghala kaise
tafteesh ho rahi hai, aman ke baad

nahiN kuchh hai, mere paas kahne ko
sukhan hi bacha hai,phir sukhan ke baad

chahko,dauDo kuchh aur khel lo
ghaDi na rahegi ye bachpan ke baad

aayee tabassum tere hoNthoN pe phool pa ke
koi zakhmi tha,kaaNtoN ki chubhan ke baad

Ghareeb ki qismat ka yahi silsila rahta hai.

GHAREEB KI QISMAT KA YAHI SILSILA RAHTA HAI.

ghareeb ki qismat ka yahi silsila rahta hai.
tareekh badalti hai, din wahi rahta hai.

guzar hi jaata hooN, har imtahaN se
maaN ki dua'aoN ka saya kahiN rahta hai.

chaliye ab chor deiN,garoN ki shikayat
ab to shiqwa sabko apno se hi rahta hai.

tamam cheezoN ke baD gaye heiN daam
admiyat ka khoon saste daam bikta hai.

tumse kya kaheiN,ki tumne kiya hi kya hai.?
hai zimmedar jo taane bhi wahi sahta hai.

kis daur ka insaaN hai, bas sunta hi rahta hai.
beqasoor hai phir bhi kuchh nahi kahta hai.

andheroN ke saaye jahaN taweel zindagi kati
dhoop ke dar se ab palkeiNb bhi band rakhta hai.

SaDak pe khatm ho gayee kisi ghareeb ki hayat

phir aaj ziqr tumhara karti hai raat
aaj kyuN phir aankhoN meiN kat-ti hai raat

pathra gayee hai phir palkoN ko meri
kyuN barf ki tarah aaj pighalti hai raat

mere jaane se pehle kah hi dena
jo aate aate lab pe rukti hai baat

phir aaj tumne myaaN se kheech li talwar
nahiN hamare beech se kyuN hat-ti hai zaat

meri makaaN mein kati,teri bangle meiN guzri
saDak pe khatm ho gayee kisi ghareeb ki hayat

tu nazm nahi,ghazal nahi, hai meri tamam shayri
kitna bhi likhuN tujhe,bharte nahiN saf'aat.

Gham jo mehke to raat ki raani lage

Dil meiN chhipaye apne gham rakho
gham jo mehke to raat ki raani lage

mujhe maloom hai,nahiN tu hai kissa-go
tera har lafze muhabbat ek kahani lage

Meri zaroorat pe idhar udhar ki baateiN
ye duniya mujhe kuchh sayani lage

school ki kitaab per tere naam ko choom liya
tehreer mere bete ki,uski peshani lage

tamam umr tujhe maaN baap paalte rahe
khidmat unki tujhe aaj pareshani lage

meiNe to uske gham ko sirf suna tha
kyuN usko ye meri meharbaani lage

na aur do mujhe karz ki rab pe chhor do
meri khuddari pe ye ahsaaN qaharmaani lage

Mu'allim khud se baDa nahiN zamane meiN

Mu'allim khud se baDa nahiN zamane meiN

Tera hi ziqr rah gaya ajnaane meiN
tabsira tera hi tha us fasaane meiN

khwab ghar banane ka poora kaise ho
tamam umr beet gayee rotiyaN kamane meiN

makaN toot gaya, dil chhota na karo
sadiyaN lagtiN heiN,dil ko dil banane meiN

wajah na aane ki batayogi kaise
lagzishe zubaN ho aaj phir bahane meiN

batana bekaar hai,na jab wo seekhna chhahe
mu'allim khud se baDa nahiN koi zamane meiN

jo samajh sake to usko bhi samjha dena
thoDa parhez rakhe hamko samjhane meiN

hijaab ne usko eisee rana'ee di hai

Tehreer mein teri tasweer dikhayee di hai
meri ghazloN mein teri aawaz suna'ee di hai

uD uD ke wo parinda phir laut aaya
kaisi pyar se labrez usko rihaa'ee di hai

Zewar phooloN ka lagne laga hai achchha
waqt ne muflisi ko jo mehgaa'ee di hai

mana karooN madad ki to kaise karooN
be-basi uski aankhoN mein dikhaa'ee di hai

daaman se tere tujhko mehsoos na karooN
paas rahke tune kaisi judaa'ee di hai

justsu baD jaati hai surat dekhne ki
hijaab ne usko eisee raa'nayee di hai.

Din guzarta hai rastoN ki lambaa'ee meiN

zamana hu'a hai, aasmaN dekhe hu'e
din guzarta hai, raastoN ki lambaa'ee meiN

hazaroN khyal gher lete heiN use
masroof insaaN hota hai tanhaa'ee meiN

tamam umr tum samajh hi na sakiN mujhe
jaana bhi tumne mujhe waqte judaa'ee meiN

na ho waqte zaroorat tum majaud agar
baad koshish na karna karam-farmayee meiN

koshisheiN kaamyabi ki jo baarha karta raha
yaqeen jaza per hi aaya use husn-e-khudaa'ee meiN

chala tha yalgaar karne dushmanoN ko magar
saamne apnoN ko hi paaya saf-aaraayee meiN

Thursday, September 30, 2010

DiloN ko joDne ka muqam sabse aage tha

Hans ke kaat di tamam umr jis paDos mein
ghar ki neelami meiN wahi awam sabse aage tha.

waqte zaroorat meiNe tumheiN jab yaad kiya
tumhara koi zaroori kaam sabse aage tha.

maaN ke baad koi naam mujhe aata nahi khuda
magar uske hoNtoN pe tera naam sabse aage tha.

kaam,aaram aur ibadat ki jab baat chali
nawab sahab ko pasand aaram sabse aage tha

aa'o dhooNdhe tumhara wafadaar kaun hai
bebafai meiN tujhse tera naam, sabse aage tha

hacil nahiN kuchh bhi,sab haacil karke
diloN ko joDne ka muqam sabse aage tha

yuN to shikwe dostoN ke har waqt karta raha
waqte madad wahi naam sabse aage tha.

MaaN to sirf dua karti hai.

Rahe ghaltiyoN pe laakh khapha
maaN to sirf dua karti hai

is garmi mein so hi gaya ghareeb
kitna khayal uska hawa karti hai

tum tum ho,tumhare akhlaaq se
tumhari pehchan yaqta karti hai

safar khatm hai, magar jaan lo
faisla manzil ka lagzishe-paa karti hai

chiraag kitne jala'o magar khayal rahe
acer taarikiyoN per sirf hawa karti hai

gunah itne karo ki hisaab rakho
tumhari aulaad wo karz ada karti hai

kisi ghair laDki ko apne saath rakho
kamaal aazadi qubool-e-niqah karti hai

main mana'ooN tujhe kitni der tak
faisla tere ruthne ki ada karti hai

talaqshuda hai wo ye jaanti hai magar
ab bhi unhi rasmoN ka nibah karti hai

tamam umr tumne maaN ka khayal na kiya
tumse rukhsat meiN wo is-se riha karti hai

doodh ki nahreiN na khod sake na sahi
shereeN magar ik is dil meiN raha karti hai

shaghal khatm hai.,ab ghar ko laut chalo
shareeq-e-hayat tumhare intzar saha karti hai

bana lo jitna ooNcha makaN jo chaaho
hudood-d-qabr ka nishaN khaaqda karti hai

diya ibadat ka jala gaya koi

khwab dekar, jaga gaya koi
kisi ke khyaloN mein laga gaya koi

wo ajnabi chala gaya eise
wajood lekar saga gaya koi

na ho udas,hawayeiN to aati heiN
baDa ke haath phir jala deeya koi

aane ke tere wade pe dauD jaati hai
mere chehre pe phir zia koi

kitni raunaq hai uske aaNgan meiN
diya ibaadat ka jala gaya koi

Friday, September 24, 2010

phir se mujhko pukarte ho tum
bikhre wajood ko saNwarte ho tum

pyar dil meiN hai,chup kyuN ho
sach ko kaise nakarte ho tum
sare din mujhko hi yaad karte ho

din ye kaise guzarte ho tum

ho tum hi jab mera sara wajood
mujhko kaise sarahte ho tum
bas gayee hooN, sukhan meiN tumhare

lafz kuchh eise nikalte ho tum

Itni mukhtasar na thi guftagu pehle

itni mukhtasar na thi guftagu pehle
ya tum badal gaye,ya ham badal gaye

awaz-e-betakalluf kho gayee kahaN
andaz dosti ke kyuNkar saNbhal gaye

tanha taweel raat ki subah hu'ee eise
suraj se os ke qatre pighal gaye

wo dostoN ki baateiN andaz-e-sukhanwar
jaane kahaN tumhare ahsas-e-ghazal gaye

aa'o ki ek doosre se shiqwa hi kar leiN
is se pehle ki kahiN door aap nikal gaye

BaNtwaara-haweli ka

BANTWARA

Haweli ko ghar mein badalte hu'e dekha
khaandan ki khushboo ko bikharte hu'e dekha
shokh aawazeiN jis sehan meiN gooNjti thiN

khaamosh khala'oN meiN utarte hu'e dekha

deewar ghar ke beech eisee ki khaDi
sahamti shu'aoN ko larazte hu'e dekha

ye chhat hai meri, wo hai tumhari
sooraj ki roshni ko baNt-te hu'e dekha

deewar mein koi ek khiDki bhi na rakhi
bachchoN ko jhaNkne se taraste hu'e dekha

jaaydad ka baNtwara , wo to hona hai
rishtoN ko meiN kyuN baNt-te hu'e dekha

manglore plane crash

dhaDkaneiN dil ki baDti jaati heiN
kaafi dino ke baad wo des jaane wala hai
khushi ke rang chehre pe aaye jaate heiN
kaafi dinoN ke baad wo des jaane wala hai

kis kis ke liye kya-2 kharedta jaata hai
tasawwur gharwaloN ka karke muskrata hai
bahan ke liye zewar,abba ke liye kurta
ammi ki ja-namaz,bhai ke liye joota
mamu ke liye ghaDi, chacha ke liye mobile
chhoot na jaye koi, sab deNge dalayal

des mein dil hai, perdes mein daulat
karta hai wo mehnat,mulk mein aur hi shauhrat
shadi bhi karne wala hai, khud apni badaulat
bibi se bhi milooNga, bas kuchh dino ki mohlat

qudrat ko ye manzoor shayad na tha
zameeN pe utarte utarte wo plane crash ho gaya
hujoom armaanoN ka dhamake meiN kho gaya
manzar-e-dil dahal per aasmaN bhi ro gaya

baahar airport ke intzaar se takti bahut si aankheiN
sunkar haadce ki khabar per gooNj uthiN cheekheiN
barriyer toDte, doDte sab runway pe aa gaye
ya khuda musafir aane wale jane kahaN gaye

khatm ik safar hua tha, shuru doosra ho gaya
jo des aane wala tha, kahiN aur ka ho gaya
wo is jahaN-e-faani be nishaN ho gaya
samaan uska saara kidhar kahaN kho gaya
MERE WALID,MEIN AUR MERA BETA--kal aaj aur kal

mera beta mere seene pe sar rakhkar let jaata hai
ek guzishta manzar mein tumheiN yaad karta hooN

sard-o-sangeen raat,jab wo kambal khol deta hai
ya bure khwab se jaagkar aankheiN khol deta hai
bistar ko uske durust karte aur hausla baDate
aasmaN pe muskarate, meiN tumheiN yaad karta hooN.

mera beta jab "you r the best father" kahta hai
hoo-bahoo kaise ye manzar rahta hai
kudrat muskrati hai aur jab bhi ye duhraati hai
e guzishta manzar mein tumheiN yaad karta hooN.

tumhari ukharti saansoN ko meine baarha dekha hai
raatoN ko tumheiN jaagte meiNe baarha dekha hai
dard chhipakar muskrate meine baarha dekha hai
khud bete se wahi duhraate mein tumheiN yaad karta hooN.

tumhari shohrat,ishrat, izzat wa karamfarma'ee
us ghar ki jisneiN alag pehchaan karwai
wahi raah tumne hamko bhi dikhlaa'ee
usi raah pe use le jaate meiN tumheiN yaad karta hooN.

tumhare nashwo-numa per meiN aaj kisi laayaq hooN
safed qameez per lage tumhare qalam ka mustahiq hooN

(mere walid meri chhoti chhoti qamyaabi per ek qalam diya karte the)[/b]
ek aur shaabashi ki faryaad karta hooN
ek aur qalam de do, mein tumheiN yaad karta hooN
NOOR-E-NAZAR TUM BADE HO GAYE HO
( sabke betoN ke liye)
tumhaari peshani mere hothoN tak hai aa pahunchi
Noor-e-nazar tum baDe ho gaye ho,

The larazte nan-ne paaNv ye tumhare
aankhoN meiN shokhiyaN laboN pe anginat sitare
chal ke do qadam gire god meiN hamaare
manazir eise kai meine aankhoN meiN saNwaare

chhoti chhoti si thandi uNgliyaaN tumhari
lams mere gaaloN ko karte the abr-paaree
ibn-e-aadam tumhara paasbaN heiN farishte
khuda muhahiz hai tumhara, tum rab ke ho sahare

tum aqs ho mere ye zamana kahta hai
tumhare seene ke kuchh qareeb mera dil bhi rahta hai
par bete mein hooN ahad-e-guzista,tum ahad-e-nau ho
hooN anjum meiN doobta sa tum kal ke ho sitare

mujhe marghoob hai, tabassum tere hothoN ki
kuchh khwab sajaati hai, paidaa'ish betoN ki
meine jagah banaee thi tumhare karwatoN ki
dab na jaaye mujhse nan-ne paaNv kahiN tumhare

bose per mere tum sharmane lage ho
seene se mere lagne katraane lage ho
utna hi tumheiN pyaar mein ab bhi karta hooN
ki tumpe jaaN-nicaar mein ab bhi karta hooN

is nasheman se hamare uD na jaana kahiN
ye ghar hai tumhara chale na jaana kahi
Nnan-ne paaNv ko laDkhaDate tumheiN chalna sikhaya
beshak tum apne paaNv pe khaDe ho gaye ho.

NOOR-E- NAZAR TUM BADE HO GAYE HO.

(i have become personal here)
tumhare baDa hone ki meiN du'aaeiN kar raha hooN
per kis anjaane khauf se meiN yuN dar raha hooN
tum mere dil aur apni khwahishoN ke beech khaDe ho gaye ho
noor-e-nazar tum baDe ho gaye ho,

meiN chaahta hooN tum baDe aur jaldi ho jaa'o
mein tumhare badalte rukh ko dekh sakooN
ham-qad jawaan bete ke sukh ko dekh sakooN
rida zimmedariyoN ki oDte tumheiN dekh sakooN

tere dil ko mujhe maaf karna itna toDna chaahta hooN
tere mazboot baa'zuoN meiN dam toDna chahta hooN
nizam-e-hasti ko jhuthlane meiN itne kaDe ho gaye ho
noor-e-nazar tum bade ho gaye ho.

Thursday, May 13, 2010

A picture down the memory lane


THEATRE DAYS IN A.M.U.1988
the memories which are saved in my "HEART DISC "
After participating in All India Drama competetion from Pathankot (punjab), when we came back to Aligarh.

Thursday, May 6, 2010

UMMEED

UMMEED
(PUBLISHED IN A.M.U.DIRECTORY DUBAI,2009)

diye ummeed ke phir bhi jalaye rakhiye
dosti ghar na sahi rishta banaye rakhiye

purane zakhmon ko to tum bhoolne se rahe
naye wadoN pe bharosa banaye rakhiye

baahar darwaze pe dhoop sisakti na rahe
ghar ki deewar pe dareeche banaye rakhiye

safar mein jaane ka saman to tum bandh chale
apni palkon pe maa ki du'ayen rakhiye

mujhe azal se ta-abad tak tumhari zaroorat hai
meri umr ko apne saath milaye rakhiye

mein door hoon tumse ye saza kaafi hai
wapas aane ke imqaan banaye rakhiye

mera andaaz-e-bayan sirf mera apna hai
apni tahreer ko khud se milaye rakhiye

itna masroof na kar khuda koi milne na paye
soone ghar mein kuch mehmaan bulaye rakhiye

---abrar ulhaq

A nazm on Switzerland

SARZAMEENE SWISS

Sarzameen-e-swiss tu khoobsurat kis qadar hai...

Barf se safed kuhsaar, chaaNdi ki deewareiN
heiN jinki qadam-bos nahr-e-Geneva ki lehreiN

JUNGFRAU jahaN europe ki chhat hai
TITLES ki pahaaDi bhi sharte shuja'at hai

WaadiyoN ki umak roohfarsaa hai jahaN
abr-paare se qishte barf purfashaN hai jahaN

INTERLAKEN ki khamoshi meiN suqooN barpaa hai
shor nahiN jismeiN har sadaa ham nawa hai

Barf-aagi zameen,qisht-e-barf raheiN,aasmaN barf sa
sab safed-o-shaffaq hai maaN ke aanchal saa

Shar-e-BAHNHOFF Zuric ki jaan hai
a shahar-e-nigaNra tu koi aur jahaN hai

dhoop,hawa,bahareiN sab rang-o-noor fishani
LUCERN ke ooNche pahaD heiN kahkashaN ki peshani

Lagzishe barish se barhaa bhigti saDkeiN
Zere aab aqs aankhoN se niharti palkeiN

beparwah barf hare peDoN meiN atak jaati hai
aabo taab se apne safed phool se ban jaati hai

PhooloN ki qataaroN se khushbuyoN ke raste heiN
ye rang fishaN jaise muskra ke chalte heiN

AabsharoN meiN jiske mosiqi ka safar hai
Ye khoobrooN nazare koi andaze sukhanwar hai

Sarzameen-e-swiss tu khoob kis qadar hai.


Shahar-e-nigaNra--mahbooba ka shahar
Aabshaar -- Waterfalls

abrar ulhaq

qafas ki zanzeeroN pe ghuroor aa gaya kaise

QAFAS KI ZANZEERON PE GHUROOR AA GAYA KAISE

pahla sher un kaanton ki nazr jihne murjhane ka khauph nahi hota,lekin jab phool nahi rahte to kaante akelapan mahsoos karte hein

Zahe naseeb tumhein murjhane ka khauf na tha
bahar aayee to rang-e-noor aa gaya kaise?
khiza aayee to ahsaas hua kaanton ko
saath rahne ka sha'oor aa gaya kaise

khuda sirf tera karam hai ki mein manzil pe hoon
mein ghareeb tha to phir itne door aa gaya kaise?

maaf kar di zamane ne khatayen meri
rahamdili pe ye dil maghroor aa gaya kaise

tumne hi to kuchh pahle tark-e-ta'aalluk kiye
bebafai ka mujh par kusoor aa gaya kaise

us aphlaak-nashin ko muhabbat bhi rahi hogi
mere ghareeb dastarkhan pe zaroor aa gaya kaise

khuda tu bada wasee hai,ham sab ka rahim hai
mein yateem kahan hun ye tasawwur aa gaya kaise

ye tera hi karam hai,khalifa-e-arab mein kya dam hai
weeran shab-o-arab mein noor aa gaya kaise

ki teri paayal ke tasawwur ne aasaan kar diya
mujhe qafas ki zanzeeron pe ghuroor aa gaya kaise

abrar ulhaq

khwaboN ko khwab rahne do

Khwabon ko khwab kuch aur rahne do
Inamon pe naqab Kuch aur rahne do

Ye saza mere gunahon ke liye kaafi nahin
Thode din ye azab kuch aur rahne do

Tumne teer talwaron se ladke bhi dekh liya
Ab mohabbat ka intakhab kuch aur rahne do

Is sarzameen ke tukde to tum barha kar chuke
asmaano pe mehtaab kuch aur rahne do

Hamne aashiyane banaye kuch nasheman bhi toote
us jungle ko sabz-o-shadab kuch aur rahne do

itni jaldi-jaldi tum mujhse mila naa karo
is dil ko yun betaab kuch aur rahne do

Saare safe bhi uske tum pad lena phir kabhi
band raz-e-dil ki ye kitab kuch aur rahne do

maana ki mere ghar mein namaazein kam ada hu'een
mere chhat ki ye mehrab kuch aur rahne do

Andhere ho gaya to parchhai sath chod degi
mere saaye ko aftaab kuch aur rahne do

Phool tod liye magar ab bhi hai baqi
chaman mein khushboo-e-gulab kuch rahne do

tamam dariya aakhir mein samandar se milne hain
baha lo nafraton ka sailab kuch aur rahne do

beparda chehre pe haya aa hi nahin sakti
bandh aankho pe hijab kuch aur rahne do

mere kamzor haathon ko taqat nahin na sahi
Hai in aankhon mein inqalab kuch aur rahne do.

TU

mein bekhauf din hoon ya muskrati sham koi
mera har pahar hai tu,meri sham hai tu
meri har nazm ke seene mein tera aqs hai
mera takhallus tu mera naam hai tu.

mera hijr tu,mera visaal tu
mere har khayal ka khayal tu
meri ghazal tu,meri nazm tu
tu hi tanhai meri, meri bazm tu

meri manzil hai tu,meri raah tu
har aarzoo se zyada meri chah tu
meri har khushi ki panah tu
meri har nazar pe nigah tu

meri aarzoo'en hein bepanah
har panah ki panahghah tu
kyun tujhse juda hoon ghamzada
meri phikrogham ki parwah tu

meri har khushi ki wajah tu
mere phikrogham mein salah tu
kabhi paas tha,kabhi raha mein door
mere har rishte ka nibah tu

tujhe bhoolkar,tujhe yaad kar
tujhe chhookar,tujhe maangkar
mere aarzuon ki raza tu
mein hoon bikhra hua, phir sajaa tu

tu bahar hai meri zeest ki
aur sab bahaaron ki fiza tu
meri mehfilen hai raaynga
de tanhaiyon ko saza tu

mere har dard par sada tu
meri har chubhan par aah tu
mere har din ki subah tu
mere raat ki deed-o-maah tu

mere qafas mein aati sabaa tu
mere har ghalat par wafaa tu
mujhe khatm kar,mujhe maar de
khabhi to ho ja khafa tu

ye tera zok-e-nazar hai, ki meiN hooN

Ye tera zok-e-nazar hai ki meiN hooN
tu hi pas-e-manzar hai, ki meiN hooN


tu gulfishaN hai is neeli fiza meiN
tu had-e-nazar hai ki meiN hooN

meiN khudi se nikalkar kaha jaa'uN
tu hi azm-e-safar hai ki meiN hooN

mere alfaaz tere khayaal ke muhtaj rahe
tu hi taffaqqur hai ki meiN hooN

aaftab haNsta hai, os muskrati hai
tu rang-e-sahar hai, ki meiN hooN

meri shab-e-khamshaN meiN tujhse hai kahkashaN
tu hi mah-o-akhtar hai, ki meiN hooN

khud ko talashte ghar apne hi aata hooN
tu hi ahle rahbar hai ki meiN hooN

is gulshan-e-hayat meiN meiN hooN khizadeeda
tu hi barg-o-samar hai, ki meiN hooN

meri saari kaawisheiN heiN tujhse hi afroz
tu ahd-e-sukhanwar hai, ki meiN hooN

meiN hooN besada tere baghair e khwab-e-tarab
ye tera pari packer hai,ki ghazal hai, meiN hooN

tere baghair nazmoN meiN ruh-e-khushboo nahi aati
tu ood-o-ambar hai, ki meiN hooN

mere hamsafar,meri rahguzar, meri har wajah
tu khud se bekhabar hai ki meiN hooN

MANGETAR KA AAKHIRI KHAT


Bas gaye jumle tere is ahsaas ki tarah
meri iflaas zindgi meiN gauhr-o-almaas ki tarah

ik lafz ke saath 'ki khariyat se aa jaao'
khat-e-aakhir ke ta-abd alfaaz ki tarah

kitni justsu thi tumse tumheiN maNgne ki
dil ufaq meiN tha,rooh parwaaz ki tarah

tamam dauran-e-safar meiN meiN sochta rah jaoonga
hogi tum hu-bahu khatoN ke andaaz ki tarah

kaisa hisaar thi wo teri masoom dua
baarat ke muntazir mehmaNnawaz ki tarah

jahaN mera mahkati rahi khushbu tere khatoN ki
shaguftgi meiN kahiN jazb anfaaNs ki tarah

har khat ka tera khwab mere khwab se milta tha
ham khwab meiN bhi the hamnawaz ki tarah

tere khatoN ne raatoN ko kahkashaN banaya
tareekiyoN se beparwah,beniyaaz ki tarah

Meri muflisi ko meri saltanat bana diya
saf-e-qirtas pe likhke ek sartaaj ki tarah

par khatm khatoN ke ye silsile ho jayeNge
meiN tum saath hoNge,ye khat akele ho jayeNge.

Ghar ke aaNgan meiN bachchoN ko ghutan hone lagi hai

Subah ka warq palta,sham tehreer hu'ee hai
raat phir shabnam se apne daaman dhone lagi hai

ik kiran dareeche se subah subah aayee hai
neeNd jaagkar apne pairaahan khone lagi hai

inqlaab aaya tha,phir inqlaab aaya hai
kuchh nayee jaaneiN phir nazre-watan hone lagi hai

(for human bom)
tum khud ko khatm karke mujhko maar daaloge
kuchh begunahoN ki umr kam daf-atan hone lagi hai

kya kareNge shia-sunni aur firqa-parasti
ishq aur insaan meiN lagan hone lagi hai

tum mujhse na milo,kuchh aur theHar jaa'o
nazm mere intzar ki,apna wazan khone lagi hai

(jo bachche ghar choD jaate heiN)
koi aur hi talash-e-sehan hone lagi hai
ghar ke aaNgan mein bachchoN ko ghutan hone lagi hai

phir aaj karke dekheiN rasm-e-mooNh dikhaa'eeyan

Tujhko mujhse roothe ek waqt ho chala haiaa
mil ke khatm kar deiN ye be-itnaaeeyan

tanha nahi laDna tujhe gam-e-dauraN se
mil ke ham kareNge saf-aaraaeeyaN

tere gusse ki mujko aadat si ho chali hai
kuchh sath chalne dena jalwa-farmaeeyan

kya pehle hi ke jaise heiN ham saath rehte rehte
phir aaj karke dekheiN rasm-e-mooNh dikhaaeeyan

saare ash'aar mansoob tujhko kyuN karooN
abrar aur bhi heiN jahaN-aaraaeeyaN

khuddari meri mujhko kuchh na de saki
zamane ko hai pasand meri jabeeN-saaeeyaN

teri aawaz tere mazhab se na nikle
insaaniyat ki hoN ham-nawaaeeyaN

be-alfaaz ho chala hooN phir aaj likhte likhte
phir aaj kuchh karooN, kuwwate-aazmaaeeyan

gam- zyada ho chale heiN e aflaaq nashiN
tu karte hampe rahna karam farmaaeeyaN

yadoN ke tere warq dhundhle na hoN kabhi
chashme zadan se pahle rahe roshnaaeeyaN

chup ho jaata hooN samajh ke unke ishaare
mere bolne pe begum ki chashm-numaaeeyaN

saf-aaraaeeyaN--morcha bandi
be-itnaaeeyaN- - berukhi
jabiN saaeeyaN- matha ghis kar salaam karna
ham-nawaaeeyaN- ek si zubaan
jahaN-aaraaeeyaN- jahan ki khoobsurti
chashme numaaeeyaN- aankheiN tarerkar dekhna
chashme zadan- palak jhapakna

Chal ke baadloN se hilal eise guzra

har sham tera khayal eise guzra
tere baghair rang-e-jamaal jaise guzra

kati har shaam intzar mein tere
tera mera visaal eise guzra

ghar mein ghareeb ke roshni kar hi gaya
chal ke baadloN se hilal eise guzra

meri taraqqee teri du'aaoN ki muhtaj rahee
du'aaoN se maaN ki waqt-e-zawal eise guzra

tere aansuoN ki qeemat ada meiN hi karoonga
khwahish-e-gham ka har malaal eise guzra

munazzim kar diye musalmaN sare ek jagah
huqumat-e-hind ka ye kamal eise guzra

meiN tujhse door hooN baghair khata ke mere
meri muhabbatoN pe ye sawal kaise guzra

talkhi ko meri sheeriN zabaN di tune
sukhan mera khushkhayal eise guzra

abrar ulhaq

Raat khoobsurat hai,neeNd kyuN nahi aati


Raat khoobsurat hai, neeNd kyuN nahi aati
baghair tere umr meri,kyuN guzar nahi jaati
mere saath ko taDapta hamrah wo raha
kyuN zindgi meri kuchh aur thahar nahi jaati

deewangi ko meri, kamzori samajh liya
samajh use muhabbat ki kyuN magar nahiN aati

sakhawat ki raahoN pe kuchh aur tum chalo
karamfarmayee logoN ko yuN nazar nahi aati

har sahar ka janm hai raat ki qabr pe
kyuN subah ke aane pe neeNd mar nahin jaati

taarikiyoN ko raat ki tanha jhelna mujhe
baghair sahe dukhoN ke rang-e-sahar nahi aati

na karwaN hi banta,na manzileiN hi miltiN
awam saath meiN tere azm-e-safar nahi aati

tafseel teri berukhi ki khatm kar hi paata
teri zulf meri aankhoN pe yuN bikhar nahi jaati

ruk gayee qalam meri waqt dekh dekh ke
takhleeq raat bhar se puracer nahi aati

koshisheiN heiN raaygaN tujhko dhoondne ki
kai dino se khud meiN khud tu nazar nahi aati

tera khayal sare bali hai,kyuN aashuftahaali hai
subah na aaye behtar hai,tu agar nahi aati.

abrar ulhaq

Aafat gale paDi hai usko nibha raha hooN.

Aafat gale paDi hai, usko nibha raha hooN.
Gyaarah baje heiN subah ke,
madam ji so rahi heiN.
bachche khaDeiN hein bhooke,
naashta bana raha hooN.

bistar se jo uthiN, jaa baithi computer par
ghoora hai mujhko eise,ki chaay bana raha hooN.
rakha hai naam jisne, sahi rakha hai 'FRI' DAY
Begum ki cooking se chhutti,mera hai aaj 'TRI' DAY
kahti heiN sar meiN dard hai, phone par busy heiN
har aadhe ghante kitchen meiN,khud 'FRI' hota jaa raha hooN
boli ek din "mulk pe likhte ho,siyaasat pe likhte ho
barg-o-samar pe,phooloN ki nafasat pe likhte ho
idhar dekho meiNe baaloN pe colour karwaya hai
ye rang-e-zulf ka hi tumhari adhoori zulfoN pe saaya hai

meiNe dheere se kaha "ya khuda mujhko rahnumai de
zulfoN ko hatakar, aankhoN meiN roshnai de
kaaghaz bhi mere paas hai, syahi bhi mayassar
warq paDa hai saada, meiN sar khuja raha hooN.

F.M. par sun rahi thiN, ghazal MeNhdi hassan ki
boli ki ye batao, "likhi hu'ee hai kiski?
shaayar nahiN tha maloom,
sar khuja raha hooN
boli shayar bane ho firte, koi sher phir na kahna
sherni hooN meiN bhi, ye yaad ab se rakhna

aate heiN phone ghar se,"aaye nahiN kyuN ab tak"
traffic meiN car phaNsi hai,meiN horn baja raha hooN.

jaana hai hamko baahar,bibi heiN aayeaine par
tayyar khaDa hooN kabse, chaabi ghuma raha hooN.
T.V. ke kisi serial par sanjeeda lag rahi heiN
apne hi lateefe par, khud muskra raha hooN.
wo Mall meiN ghoom rahiN heiN,meiN trolly liye hu'e hooN.
trolly meiN pheNkti cheezeiN, meiN kareene se saja raha hooN.
wo karti jaati heiN "shopping"
meri hoti jaati hai "Chopping"

MeNhgaayee ki maar se mujhe dar tha na kabhi gila
baDte kharchoN se bibi ke, maara jaa raha hooN.

kaha jo meiNe ek din "Recession" chal raha hai
boli chupp raho, shopping ka "occasion" chal raha hai
kabhi gussa bhi karooN, himmat juta'ooN kaise?
maahir hooN 'marshal art' ka, 'Belan' pe jaaN gaNwaa raha hooN.

abrar ulhaq

KABHI KABHI

Kabhi soz-e-muhabbat hai,
to jashne bahara hai kabhi kabhi
kabhi mauj-e-hayat aafri hai,

to sukuN aaNwar kinara hai kabhi kabhi

nigahoN ki hararat se tapak jaata hai
teri aankh se girta,sitara hai kabhi kabhi

kabhi garmi se tere haathoN ki dhaDak jaata hai
soye dil meiN harkat ka sahara hai kabhi kabhi

kabhi rang diya tere haathoN ki meNhdi ne
kaynat ke tamam rango ko sawaNra hai kabhi kabhi

kabhi tujhko meri hi nazar na lag jaye

tere la-ilm meiNe sadqa utara hai kabhi kabhi

kabhi dhoop chandni se lage teri palko ke saaye
teri aankh se chaand ka nazara hai kabhi kabhi

kabhi hooN lab-basta ki,ghar ki hai kahani
shabnam hai tu agar, sharara hai kabhi kabhi

kabhi dil se pyar karne hi lagegi
khushfahmi se hai apna guzara kabhi kabhi

abrar ulhaq

MaaN ka intzaar

shabnam uski aankhoN se girkar sookh gayee hogi
un gulaboN ki saans phir aaj ruk gayee hogi

tere intzaar ki chaukhat pe khaDi maaN ki aankheiN
dekhkar jise deewar ghaDi ruk gayee hogi

itna qad-o-waqt lamba na kar pardes jaane waale
buDi hoti maaN ki kamar aur jhuk gayee hogi

teri khush-haali mujhe aziz hai par tu kahaN hai beteye
eid bhi tere baghair khushk gayee hogi

teri ek aah hi kaafi hai teri maaN ke liye
hook maaN ki zameeN se uphak gayee hogi

maaN teri mamta ke ham ab bhi karzdaar heiN
kaise kah dein ki ye qist chuk gayee hogi

apne ghamoN ko maaN ki ungliyoN pe rakhna
tere hisse ki dua kabhi na maphlook gayee hogi

maphlook--disappointed

abrar ulhaq

Us laDki ki shaadi

UN LADKIYON, CHHOTI BAHNON KE NAAM JINKI SHAADI KAM UMR MEIN KAR DEE gayeeN

US LADKI KI SHAADI

YuN khwab sa lagta hai sara manzar
meiN bachpan se jawani meiN ghuzarti hi rahi
in khwab aalood aankhoN meiN rahi bedaari
neeNd mujhse har raat ulajhti hi rahi.

Kabhi jagti aankhoN se sitaroN ko talasha hai
ghane baadloN se taroN ka pata poochhti hi rahi
door khamosh wo veeran sa jhoola hai
apni doli meiN baithkar jhijhakti hi rahi

meiN bachpan thi,mohabbat ka,faraa'iz ka,samaj ka
eisho-aaram ke nateejoN pe bahalti hi rahi.
meiN ek khushboon hooN,faza hooN,ahsas-e-jamaal hooN
sazeena-e-jazbaat hooN,shaayar ka khayaal hooN
meiN dosheeza hooN,faroza hooN,aks-e-hilaal hooN
kahkashaN hooN,mahwash hooN, mohabbat ki micaal hooN
shaayroN ki paheli hooN, ya seedha sa sawaal hooN.
kudrat ka kamal hoon, ya chaahto ka visaal hooN.
.................in tamghoN se mere bachpan ko na paamal karo
meiN khelna chahti hooN,mera khayaal karo

mera nachta bachpan subah ki dhoop sa tha
mera chhota sa aangan mahlo roop sa tha

sab naz uthate mere,meiN kuchh hukmraani thi
koi sha'oor tha na mujhmeiN,bas itni syaani thi

meiN ek shahzaadi thi,apne khayaaloN ki
aur ek lo thi firdos-o-mashaaloN ki

mera koi lahjaa na baatoN meiN atakta tha
beparwaah libaas ka daaman na simat'ta tha
meiN kisi zardaar ki na khwahishmand thi
aur mustaqbil-e-zaree ki meiN na paaband thi

mere aanchal meiN sitaare nahi poori chaandni thi
bas na koi aur dua mujhko maangni thi
imthanoN ke nateeje par mein jhoomti rahi
har kaamyabi paake meiN phoolti rahi
baarish idhar udhar beperwah ghoomti rahi
jhoole pe jaake pehle se meiN jhoolti rahi

raat ke roophale khwaab bhula rahe heiN mujhe
subah ke ajnabi khayal bula rahe heiN mujhe
tum koun ho tumhaara zikr baichen karta hai
tumheiN na jaan'ne ka dukh baichen karta hai
tabinda kirnoN ko shab-rang na banaya karo
baghair ijaazat mere khwaab meiN na aaya karo
rasmoN riwaaj ke bhaari andaaz nahi aate
kaisi vidaa hogi mere aaNsoo nahi aate
hina ke raNgoN se mera tawaa'ruf nahiN
bachpan ke pahar jaisa koi maa'ruf nahiN
shaam ke suraj ki dhoop munderoN tak hai rah jaati
kya meiN kuchh aur din roshni meiN rah paati
naye rishtoN ki fehrist mujhko thamaa dete heiN
naseehtoN ke bojh mere daaman meiN sama dete heiN
meiN bint-e-mariyam hooN, aur aks-e-zulekha hooN
aamal-e-haajra hooN, aur tehzeb-e-zubaida hooN
................meri saadgi ko itni buland aawaz na do

mere bachpan ko kam karke umre daraaz na do

khawaaboN ko khwaab kuchh aur rahne doi
naamoN pe naqab kuchh aur rahne do
mujhe safed paNkhoN se baadloN pe chalna hai
sunhari baloN meiN ghulabi malboos saNwarna hai
ghar ke aaNgan mein kuchh aur khilkhilaana hai
baarish ko nichoD ke kuchh aur rimjhimaana hai
bina khushboo ki hawayeiN mujhe achchhi lagti heiN
chhat ki chiDiyoN ki sadaayeiN mujhe achchhi lagti heiN
saheliyaN bewajah haNsaayeiN mujhe achchhi lagti heiN
jo wajah na dhooNd laayeiN muche sachchi lagti heiN.
ye bachpan ka mausam, bahaar ka mausam hai
e khaliq-e-kaunen saare saNsaar ka mausam hai.
MeiN haNsti thi, tab bhi haNsti thi,ab bhi haNsti hooN
meri mehboob haNsi mere saath haNsti rahi
YuN khwaab sa lagta hai sara manzar
meiN bachpan se jawaani meiN ghuzarti hi rahi.
abrar ulhaq

Wednesday, May 5, 2010

DIL DARTA HAI AB HAR NAYEE BAAT SE

Dil darta hai ab har nayee baat se
har shaam phir tumse mulakat se

rasm dar-kinaari ki nibhaa'uN kab tak
zabt phir tutega tumse sawaalat se

din to kat hi jaata hai roz ki tarah

ghabrata hai dil mera har nayee raat se

koi khabar teri mujhe beqarar na kar de
door mujhko rakh tamam akhbarat se

koi aur hi shaql na ikhtiyaar kar le
tujhe bilkul na kho dooN kahiN ilzamat se

mohabattoN ki rahoN meiN zillatoN ko paya
yaqeeN uth chala hai sabhi mukamaat se

khair maqdam ghamoN ka ab tang karta hai
mehmaaN nawazi ki in rawayaat se

tumko mujhse kate hu'e kuchh waqt ho chala haia'
aao koi pul banayeiN kinhiN wajuhaat se

Naye saal meiN nayee shuru'aat kareiN

Aa'o koi nayee shuru'aat kareiN
jahaN pyar ho,bas pyar ki hi baat kareiN

koi ana na tere mere beech ha'yal ho
khudi ko hatakar ham khud se mulakat kareiN

meri aarzu'eiN jahan teri justju baneiN
khwahishoN ke eise intzamaat kareiN

teri zabaN mujhe hamnawa si lage
mere alfaaz tujhe bolne ki saughat kareiN

meri khushboo jahaN tujhe apni si lage
ham khud meiN paida kuchh eise jazbat kareiN

na tu bhatke na meiN kho jaa'ooN
ek hi raste ke ahd-o-rawayat kareiN

koi gham tujhe khwaab meiN bhi na chhooker jaye
khushi meiN ham shareek apne lamhaat kareiN

meri palkeiN teri aankhoN ko bheegne na deiN
is saal aansu'oN ko widaayee ki rasmaat kareiN

abrar ulhaq

"MaaN"

MaaN

Apne haathoN ki lakeeroN meiN tumheiN dhooNd raha hooN

jin haathoN se nikal gayeeN tum ret ki tarah

sara ghar jo sharaabor tha tumhari roshani-e-azmat se
har ghosha hai tareek aur ghar sangrez ki tarah

har pursaane haal ke lafz raaygaN se heiN
ab to khushiyaN bhi lagti heiN parhez ki tarah

thaa sukuN wa thandak tumhare aanchal ki chhawN meiN
aur bachchoN ki jannat neeche tumhare paaNw meiN

tum aaNgan ka peD thi,tum sardi ki dhoop thi
tum pyar thi, saari kaaynat ka ek roop thi

tum haNsti thi to har bachcha khushi se bharta tha
tum khamosh hoti to sab kuchh kasakta tha

tumne kamzor ,kaNpkapate hathoN se balaayeiN liN
girte saNwarte hathoN se kitni du'aayeiN kiN

tumhare mooNh se jo aati thi paan ki khushboo
hameiN lagti thi saare jahaN ki khushboo

tumhare chehre par jo phikrogham ke nishan the
jinheiN mitaane tumhaare bachche pareshaan the

tum wo saagar thiN,jahaN saare dariyaa milte the
bachche tumhare saare, aakar tumse hi milte the

tumhare pyaar bhare haathoN ki narmi kahaN se laayeiN
sabko tajassum hai tumhari, tumheiN phir se chhoo jaayeiN

koi bashar eisaa nahiN, jise maaN ka khayaal na ho
aur uske jaane ka saNs-e-aakhir tak malaal na ho

ek tum thiN, jo mere tamgoN pe khush hu'aa karti thiN
aur meri pareshaniyoN meiN khul ke du'aa karti thiN

jaaNnamaaz meiN tumhari peshani ki khushboo hai
aur yahi mahak tumhare kamre ke har soo hai

tumhari tasweeh un haathoN ko dhooNd rahi hai
buDi ungliyoN ne jise kai baar chhuaa hai

kitni mitti meiN dabi ho, kitni shaffaq hu'a karti thiN
tumhare wuzoo ke rakhe paani ko ye ehsaas hua hai

ab sab aarzueiN ummeedoN ke madafan heiN
kitni khizaNdida ye aankheiN,ye gulshan heiN

log kahte heiN, tum hamare saath bahut din rahiN
nahiN qubool hameiN,tumhaara saath kyuN sab din nahiN ?

(tumheiN yaad hai jab tum zinda thiN,meiN akcer kaha karta tha.........)

god meiN tumhari gham kho gaye heiN sab
tum jaag rahi ho maaN,ham so gaye heiN sab

aur aaj

jaane se tumhare,yuN kho gaya hai sab
tum kho gayee ho maaN,jaise kho gaya hai rab

abrar ulhaq

Chand hooN meiN Eid ka

CHAAND HOON MEIN EID KAA



chaahtoN ki deed kaa

naye rishtoN ke ummeed ka
shikwoN meiN tanqeed kaa
paigham bahar-e-eid ka

chaand hooN meiN eid kaa

taskeen mushtaq-e-deed ka
chasme barah bareed ka
ghar jaane ki ummeed ka
khatme intzar shadeed ka

chaand hooN meiN eid kaa

ghuzre saal ki tajdeed ka
naye libaasoN ki khareed ka
nayee khushioN ki ummeed ka
aghaz-e-bahar mazeed ka

chaand hooN meiN eid ka

nayee takhleeqo-tamheed ka
koi kawishe jadeed kaa
dushmani ki tardeed kaa
mahobbatoN ke mureed kaa

chaand hooN meiN eid kaa

"eidee" ki rasm akeed ka
beshumar 'dawat-e-eid' ka
ghale milne ki rasm saeed ka
eylaan hooN youm-e-eid kaa

chaand hooN meiN eid kaa

bareed=postman

tardeed=to reject
akeed=confirmed

abrar ulhaq

MENHDI SE RACHE TERE HAATH

MeNhdi se rache tere haath mujhe ab bhi yaad hai
rang-e-hina ki ye saugath mujhe ab bhi yaad hai

kangna kholne ki rasmaat mujhe ab bhi yaad hai
khoob ru rang-e-hayat mujhe ab bhi yaad hai

tere gore haathoN meiN aadhi rangeen ungliyaaN
meri poori qaaynat mujhe ab bhi yaad hai

khudaya in hathoN ki lakeeroN meiN meiN bhi maujud hooN
wo mahve-tamkeeN khayalaat mujhe ab bhi yaad hai

hina ke rang tere meri aankhoN mein qaid heiN
wo sahirana lamhaat mujhe ab bhi yaad hai

dikhe the surat ko teri dekhne se pehle
meNhdi se rache tere haath,mujhe ab bhi yaad hai.

tere baad ke khatoN meiN, tujhko nahi maloom
the khushboo-e-hina ke safhaat,mujhe ab bhi yaad hai

ye rang bhi mitna tha, mit hi gayade gaya
nukush-e-jazbaat,mujhe ab bhi yaad hai

mehve-tamkeeN---fakhr meiN doobe

nukush-nakhsh ki jamaN

Ek shaayer ki wasiyat

EK SHAAYER KI WASIYAT

Wakil se kaho, meri wasiyat ko banayeiN

daulat ke siwa kuchh aur bhi batwayeiN

karzdaar hooN un hawaa'oN ka jinmeiN cigretteiN phoonki heiN
ghar ke sehan meiN kuchh phooloN ke ghamle lagwaayeiN

guRguRati hu'ee paan ki peekoN meiN daad wo wah wah
pichhli wali gali ko kai baar acid se dhulwaayeiN

bachchoN tumhari maaN ko kuchh dukh bhi diye heiN"
meiN ab nahi hooN" use ye yaqeen dilwaayeiN

doosri kitaab ki teesri nazm chori se likhi thi
kawwan miyaN ko copyright ke paise pahunchwayeiN

waqt-e-taamir is ghar ka ek peD bhi kaata tha
mere bachche bagichoN ko sabz-o-shadaab banayeiN

meri wasiyat pe kisi ke aansoo nahi aate
housemaid se kahkar thoDi pyaz katwayeiN

kuchh nazmeiN meri sunane se chhoot gayeeN thiN
agli fatiha meiN wo kitabeiN lete aayeiN

marne se pehle bhanje bhanji ke naam rakhne the
laDke ka 'radeef' aur laDki ka 'qaafiya' rakhwaayeiN

aakhiri aarzu meri copyright ke paisoN se
meri qabr pe saalana mushayra karwayeiN

do qate abhi abhi zehan meiN aaye heiN
mujhe utarne se pehle lillah sunte chale jayeiN

abrar ulhaq

Ek khwab aur mere waliden

EK KHWAB .............AUR MERE WALIDAIN



ye nazm meiNe 2 saal pehle likhi thi. ye mere waliden ke bare meiN hai jo ab is duniya meiN nahiN heiN.

ek din meiNe apne walideiN ko khwab meiN dekha, donoN ko sath khwab meiN dekha, ek alag si khushi hu'ee. bahut dhundhlate alam meiN meiN unheiN pahchan nahiN paa raha, dheere-dheere unke chehre mujhe saaf nazar aane lagte heiN. dono hanste hu'e nazar aate heiN.

ittfaq ye hua ki agle din phir wo khwab dekha. phir donoN mujhe dekh kar hanste nazar aate heiN.

teesre din meiN waqt se pehle jaldi so gaya unheiN phir se khwab meiN dekhne ke liye...sote jaagte subah ho gayee wo khwab meiN nahiN aaye aur meiN betha khala meiN sochta raha, tab ye tehreer hu'ee.


arz hai

EK KHWAB AUR MERE WALIDEIN

Kaun heiN wo do chehre
khud se khud aa jaate heiN
mere haseen khwaboN ke
silsile banaate heiN

wo khushbuoN ke hamsafar
kahkashaN pe chalkar
mere ghar ki dehleez par
deeye jala rakh jaate heiN

mere laboN ki muskrahat par
purzor khilkhilate heiN
aur meri udasi par
peeth thapthapte hein, hausle baDate heiN

har raat mere khwaboN ki chilmaneiN hatate heiN
mere kisi tajassum par ek lo si jalate heiN

meri karwatoN ke do-taraf
saaNseiN heiN,khushbueiN heiN
lams unki ungliyoN ke
kai baar mehsoos hu'e heiN

mere naguftni sawaloN par ungliyaN rakh dete heiN
mere labo ki khamoshi par ungliyoN rakh dete heiN
meri khwahish-o-sama'at par ungliyaN rakh dete heiN
meri justju ki aankhoN par ungliyaN rakh dete heiN
mere aansu'oN ke raste par ungliyaN rakh dete heiN

aahat se unke aane ki
hazaar taar bajte heiN
sab rang noor ho jaata hai
tare hazaar sajte heiN

chandni ki oDni maa ka libas lagta hai
badloN ka pairahan abba ka libas lagta hai
kyuN mujhse door heiN,itne door
unke bagair na koi mera ghamshanas lagta hai

mere bachchoN ko dekhkar
aasmaN se muskrate heiN
mere bachchoN ke bachpan se
mujhe dhoondh laate heiN

meri takhleeq-e-qaynat tumse hai
aur ye rang-e-hayat tumse hai
tumse thi saari khushiyaN
ab ye gham-o-sadmaat tumse hai

saloN saal aate heiN
aur din nikalte heiN
bejaan,behis se ham
roz us par chalte heiN

tum jis din nahiN aate
meri khwab-aalood aankheiN
tumheiN dhoondne chal paDti heiN
baadlo pe tumhare naqsh-o-pa
dekhne chal paDti heiN.

apne bachchoN ko ab aur kitna rula'oge
kya mumkin hai tum khuda ke ghar se lot aa'oge

........kaun heiN wo do chehre
........khud se khud aa jaate heiN
........mere haseen khwaboN ke
........silsile banate heiN

abrar ulhaq

hamsafar

aa band aankhoN meiN ek khwab sajayeiN
palkeiN kholeiN to saamne tujh ko nazar payeiN

tu hai ek kitaab khushboo ki
harf jiske meri saansoN se ubhar aayeiN

tu meri ungliyoN meiN basti hai
hatheli pe meri tere naqsh ubhar aayeiN

jo lamha guzre tera daamangheer hokar
jiske chhoote meri sadiyaN guzar jayeiN

bas gayee hai mere ahsaas meiN teri si mahak
chale jaayeiN jidhar chahe oodh-o-ambar jayeiN

itni muhabbat na de ki mera daaman chhota hai
us'se kah do khudaya kuchh aur tha'har jayeiN

sitare taNk dooN tere daaman meiN jo bas meiN ho mere
teri parashtish ko chalke mah-o-akhtar aayeiN

koi lamha jo guzre tere qareeb ho hamsafar
teri hamraah hokar meri kai umar jaa'eiN

har meel ke pat'thar pe alfaaz ye likh do
jahaN se tu jo guzre, wahiN se mera safar pa'aeiN

Shehar-e-Dubai

shehr-e-Dubai tune kya kya na diya
rastoN ke pechokham,aur viso ki problem

ghar se outdate kiyaDubai meiN accomodate kiya
ghar se aate heiN letterbeta are you feeling better

ret,rambal aur samandar
kya kya nahiN tere andar

licence to mil hi gaya dost (Driving license ke liye)
muddat meiN test ko paas kiya
gaaDi khareedna khwab hai abj
eb se tune khalaas kiya

Studio tune flat diyamushkil se hamne set kiya
mushkil se job ki lift dina phir bhi straight shift di

shaadi ke liye overage kiya
office ke baad tune page kiya (jis zamane meiN pager chalta tha)

kam tune meri sleep ki
bat bat pe tune bleep ki

arbi zabaaN ne hal-e-bekasi kiya
pepsi ko be-basi kiya ( yahaN arbi pepsi drink ko arbi meiN bebsi kahte heiN)

kaif-al-haal se tasleem kiya
meri angrezi ko taqseem kiya

a/c ka bana diya tune aadi
india meiN hogi meri barbadi

rashian se dubai ko bhar diya
hay...allah ye kya kar diya

gandh ho gayee bahut bhaari
kahaN se bhar liye malbaari

garam paani ko suit kara diya
insaaN se ooNt bana diya.

shehar-e-Dubai tune kya kya na diya

abrar ulhaq

intzar


Aabad hooN meiN apne aalishan makan meiN
qadmoN se ise apne ghar kar ke guzar ja'o

intzar se paiham jaagti aankhoN ko
khwaweeda se karke neendoN se guzar ja'o

ab to namazoN mein meiN bhi tum aane lagi ho
kuchh der to thehro,kuch baad guzar jaa'o

gulshan ke mere phool heiN phasurda wa shikasta
apne daaman ki khushboo ko lahra ke guzar jaa'o

aahat si sada ban ke dhadkan meiN utar jaa'o
chandi ki subah jaise shabnam pe guzar jaa'o

surmayee sham ke heiN gahrate andhere
chand se utro ujale si guzar jaa'o

kahiN ansoo'oN ko mere zamana na dekh le
aankhoN pe mere aake palkoN se guzar jaa'o

usi mod par meiN ab bhi khada hooN abrar
is raah pe aakar ek baar guzar jaa'o

NAYA SAAL

ab ke nayaa saal kuchh eisa nazar aaye
ki pichhle sab saaloN se badla sa nazar aaye

diloN per chha'ee hu'ee ghamoN ki ghard ho door
shab-o-roz bas khushiyoN ki sahar aaye

naye sire se ho san'at apne wajood ki
bikhra bikhra saa aashiyaN saNwar jaaye

ibtda ho eisee jaise aagaz kisi bazm ka
aakhir mein jis bazm ke waqt khud hi thahar jaye

har lamha jo guzre naazneen phool sa ho
gushan-e-hayat mein jiski khushboo si bikhar jaye

ek naya aasmaN ho aur nayee ho zameeN
ek naya ho diyaar, aur naye ho makeeN
ek nayee ho manzil aur naye ho raah
ki phir kisi raah se koi gham na idhar aaye

ham ka jazbaa ho baham ham sab ke
koi hadcaa na ho ayodhya-o-gujrat ke jaise
rishtoN ko joda jaaye sakht zanzeer se eise
ki phir se tootkar kaDi koi na bikhar jaaye

ab ke naya saal kuchh eisa nazar aaye
ki pichhle sab saaloN se badla sa nazar aaye

INAYAT-E-JUNG

Un bachchoN ko mansoob jo guzista jungoN meiN halaq ho gaye

INAYAT-E-JUNG

Ye kaisa wahshi junoon hai, ( yaNha tujhe se mera ishara aap samajh sakte heiN)
tere sar to hazaroN bachchoN ka khoon hai,
kitne masoom chalne se apahij ho gaye
ye kaisa iktidaar hai, ye kaisa kanoon hai,

Tera iktidaar nahiN par tujhe ikhtiyaar hai,
teri chheDi hu'ee jung ab bhi barqaraar hai,

vietnaam, hiroshima, iraaq ya Afghan
sabko tune paamal kiya, shaitaan ho ya insaan

jin sarzaminoN par tune bom giraaye
aaj tak wo bachhe pairo pe na chal paaye

tu ye kahta hai, sab aman ke liye
par masih ne to zakhm apne sar liye
aman ke liye, usne saleeb bhi sahee
kitaab-e-engeel meiN par tere jaisa kuchh nahiN

kya tune jhaNk kar un masoom aankhoN meiN dekha
lahu se chipakte hu'e un paraahnoN ko dekha
jin masoom aankhoN meiN ek sawaal hai,
hamara kya kasoor hai, ye kaisa zalaal hai.

wo apaahiz reNgte reNgte baDe ho bhi sakte hei
Naur kuch apne jismoN ko kho bhi sakte heiN
jinke shiryaanoN meiN tune baarudeiN ghol deeN
waqt-e-jawani meiN sharaara ho bhi sakte heiN

apne drawing room se tune huqm-e-yalghaar kiya
hazaaroN mamtaoN ko tune sharmsaar kiya

tune amn kahaN kiya....

duniya meiN huqmraani ki ye kaisi aas thi
kitni miqdaar meiN tujhe khooN ki pyaas thi

tujhe kya mila

ab to tu nahiN teri huqumat bhi nahiN
tera haqooq nahiNm teri zulmiyat bhi nahiN

hiroshima ki zamiN meiN fasl nahiN tera baarud hai
vietnaam ke nasleiN khauf aalood heiN
philsteen aur iraaq ki maaNyeiN tujhe kya deNgi
un zakhmi bachchoN ki sadayeiN tujhe kya deNgi.

abrar ulhaq

SARA


SARA


jiski shokh aankhon se shararten jhalakti hein
uske narm baalon pe neem chand ka jooda
jiske garm gaalon se meri qaynaat siharti hai
jiski chanchal hansee par mera jahan simathta hai
meri uljhanoh ke dar pe chilmanein see rakhta hai

tu wo shabnam hai na chhuyegi tujhe sooraj ki kiran
subah hone se pahle,pahnaa degi tujhe aahni pairaahan

wo banawti tere abroon,hamain yun gudgudaate hein
tere muskraane par taare bhi gungunate hein

tu kahkashan hai
mere ghar ki raat ko teri har lamha zaroorat hai
tere aane se pahle,sab kuch alam-e-zulmat hai

tu faroza hai
mere ghar ki tariki mein
tu masarrat hai,bemisaal hai
fikrogam ki bariki mein

tu khushboo hai
raat ki raani ki
der tak jagaati hai
hamein hukmraani si

tu dosheeza hai
subah ke ujaalon ki,makhmali khyalon ki
tujhse ronkein baa noor hein
firdos-o-mashalon ki

mere kandhe par chadkar paalna banati hai
dheere dheere gungunakar khud loriyan sunati hai

kis jahan se chalkar,is jahan mein aayee hai
apni sathi pariyon ki, sohbatein chor aayee hai

tere bhole sawalon pe mein ruk jaata hoon
soch mein pad jaata hoon
itni pyari se batein khushiyan hein yaa baaratein

kyun kar ye sawaal aata hai
kya ham tere layaq hein
is inam ke mustahiq hein

naam se hai shahzaadi (SARA means shahzaadi)
chandni ke jhoolon mein jhoolti rahi hogi
in ghareeb kandhon par kya sach mein khush rahi hogi

tu phool hai ya gulshanyaa hai ek guldastaa
tere chhote daaman meinjahan-e-khushboo hai bastaa

khuda tu bemisaal haidaaman se zyada deta ha
iek cheez aur de de
hamaari umr ise dede


abrar ulhaq

kuchh A'shaar

mausam ki to fitrat hai badalte rahna
tere liye badal ke alfaaz kya likhuN
mausam aur tera zikr to baarha meiN kar chuka
meiN beech meiN hooN pareshaN abrar kya likhuN

---------------------------------

waqt hi ne chhena tha, waqt hi se mila
phir kyuN mujhe aaj waqt hi se gila hai
darta hooN waqt hi na kahiN na chhen le
wo gumgashtaN aaj jo waqt hi se mila hai
------------------------------------

tha tujhpe yaqeeN eise jaise chaand ki raanaa'ee mein
karta raha meiN intzar us shanash'ee meiN
shayad tu jise bhool ga'ee mujhe ab bhi yaad hai
ek waada kiya tha tune shame tanha'ee meiN
------------------------------------------
uska har lafz tha muhabbat se bhara
uska har lams tha nadamat se bhara
uske jism ki wo aashna si mahak
uska har andaz tha shararat se bhara
--------------------------------------------

kya hua jo thoda jalna paDa use
aag meiN tap ke hi to sona nikharta hai dosto
-------------------------------------------

bujhne se pehle diye ki lau jo hai baDi
muskrahat ko meri dekh de khush ho gaye heiN dost
-----------------------------------------

khud se naaraz hooN ki tujhko kyuN naraaz kiya
teri majbooriyoN ko ghair andaz kiya
waqt se us waqt ko kya meiN wapis chheen paa'unga
uf anjaane meiN meiNe waqt ko kyuN naaraz kiya
---------------------------------------------
jab bhi aasmaN pe parindoN ko uDte hu'e dekha
baarha tabhi mere haath bandhe se lage
qaid qismat hai meri, aur parwaz unki
mere baazu phir aaj,haalat se bandhe se lage
---------------------------------------------
in bandhanoN ki nafasat ko samjhega kaun
ki jinmeiN qaid nahi rihaa'ee ka maatam hai
-------------------------------------------
gham nahi ki kitna intzar kiya meiNe
gham ye hai ki kitna intzar hai baaqi
wajib tha par jurm ka iqrar kiya meiNe
tere phaisle pe khuda ab qarar hai baaqi
--------------------------------------

suna hai hawa bhi hai ek saudagar
har saNs ki wapisi ka karti hai intzar
-------------------------------------
khamosh samandar ki lahro ko chhoo kar to dekho
iske seene meiN bhi kai tufan dafn heiN.
---------------------------------------
na tha wo mera dost na mara raqeeb tha
na meiN uske qareeb, no wo mere qareeb tha
na tha mera hamkhayal aur na mujhse juda
ek qurbat thi hamare gird, ye rishta ajeeb tha.