Thursday, August 18, 2011

Mujhe aziz mere ghar ki mehraab hai

jidhar bhi dekhiye chehre pe naqab hai
haqiqat ko jan-na ek khwab hai

tumheiN chal ke pat-tharoN pe aana hai
mere ghar ka rasta kuchh kharab hai

tujhe dekhta to shayad chala jata
mukhe rokta phir tera ye hijab hai

qurbaniyoN dekar bhi ham juda juda se heiN
kya kuchh aur baqi mazhab ka hisab hai

ye ooNche burj-o-imara tumheiN mubarak
mujhe aziz mere ghar ki mehraab hai

mila ke haath tamam dost chal diya
na ghamshanas mera koi ahbab hai

zamiN tu na ghoomti to hamsaye kahaN hote
mera mehboob bhi tera aaftab hai

aawaz azaN ki tujhe roz bulati hai
tu aaye na aaye ye tera intikhab hai

No comments:

Post a Comment