Thursday, August 18, 2011

khatoN ko likhe aaj zamana hua

ek khwab safar pe rawana hua
phir ummid ka aaNkhoN meiN sajana hua

behis hai subah-o-sham ka guzar jaana
khwab aaye to khushiyoN ka bahana hua

mere na aane per tum khafa na ho
mukhe khud se mile aaj zaman hua

khwab ka karam ha ki kuchh din se
mere aankhoN meiN neeNd ka aana jana hua

wo alfaz-e-guftagu kahaN se laa'ooN
khaton ko likhe aaj zamana hua

No comments:

Post a Comment