Thursday, February 4, 2010

taboot

Hisaar-e-taboot meiN hooN band kab se
kat gaya hooN,zamaane se,tumse sab se

taboot ke baahar ek duniya basti hai
jhooth,fareb aur banawti roop rachti hai
naqli muskrahatoN,dhokhoN ke baazar heiN yahaN
har ek shai kisi bhi daam pe bikti hai

zardaar,zamiNdaar ke iqtidaar hai yahaN
jismeiN jitni taaqat hai baat uski chalti hai

kaarobar ki meetingeiN jahaN hotloN meiN hoti heiN
faayleiN sarkari daftaroN meiN band soti heiN

sachchaai,paakizgi aur insaaf ke roz sode hote heiN
imaanwale roz marte heiN,zinda hoteiN heiN,roz marte heiN.

jamaakhori ke ilzaam lage heiN mujh par
band tehkhaano meiN paDa hooN kab se

hisaar-e-taboot meiN hooN band kab se
kat gaya hooN ,zamane se,tumse,sab se

abrar ulhaq

2 comments: