wo jab aayeeiN chahak uthe,tamam gunche mahak uthe
hai chaman meiN hota ghalghala ki ye hawa kuchh aur hai
tere sar pe jo hijab tha, tujhe dekhna bhi azaab tha
bikhra ke zulfoN ko kyuN kaha,ki ye ada kuchh aur hai
ghurbat ne mujhko chun liya, kaaNtoN ne raasta bun liya
ab kaun sa hai imtahaN, rah-e-wafa kuchh aur hai
maine tumko kaha nahiN, tumne bhi kuchh suna nahiN
na samajh sake wo meri nazar, mera hamnawa kuchh aur hai
ghareeb ko kuchh mila nahiN,jo nahiN hai us-se ghila nahiN
bacha ke nazar ko chal diya, ye rida kuchh aur hai
umr bhar jo gunah kiye, na dushmanoN se sulah kiye
kyuN itne aziz haiN ird-ghird, ye jaza kuchh aur hai
khwab aankhoN se bichhaD gaye taare palkoN pe aake chaD gaye
neeNd ne phir aaj daf-atan kaha ki ye sabah kuchh aur hai
tera aana mujhe yaad hai, na jaane ki faryad hai
tera dil kidhar hai chal paDa, tera naqshe-paa kuchh aur hai
teri raah mujh tak na aa saki, manzil ka pata na laga saki
meiN kab se hooN us moD par, tera saNgenisha kuchh aur hai
jo teri raah meiN chal paDe, jahaN sab ruke wo jaa khaDe
kitne mutee'y the kal ke log ,ye insaaN kuchh aur hai
tum mile chup-chup se the, maiN bhi kuchh gumsum sa tha
haNste haiN bas ham kabhi kabhi,jazbe wafa kuchh aur hai
Friday, March 25, 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment